Doston, Aaj ki is post mein ham baat karne wale hain Instagram Reels ke baare mein: Kaise aap apni Instagram Reels ki video ko viral kar sakte hain, zyada se zyada views aur likes aur followers ko badha sakte hain. Aaj ki is post mein main aapko ek aisi genuine trick batane wala hun jiski madad se yah sab ho payega aur aapki video zyada viral hogi.
Aapki video par likes aur followers bahut hi teji se increase honge. To guys, video ko viral karne ke liye aapki video mein trending hashtag aur viral #hashtag ka hona bahut zaroori hai, jisse ki aapki video bahut teji se viral hogi. Uske liye hum use karenge ek bahut hi popular app – In Tags. In Tags ki madad se aap trending hashtag aur viral hashtags find kar sakte hain jo ki most popular hashtag hai.
Aur in #Hashtags ko apni Instagram Reels video mein use karenge jab aap apni video ko upload karenge. Lekin guys, aapko trending hashtag mil gaye hain aur aapki video viral bhi ho jayegi logon tak aapki video pahunch jayegi, lekin usse pehle aapko kuch baaton ka dhyan rakhna hai.
Best Quality Content?
Sabse pehle aapka jo content hai us par aapko focus karna hai. Aapka jo content hona chahiye, vah achha content hona chahiye. Kyunki guys, In Tags ki madad se aap trending aur viral #hashtag nikal ke apni video mein laga lete ho aur aapki video viral bhi ho jati hai. Lekin agar aapka content achha nahi hoga to aapki video par koi like nahi karega na hi koi aapko follow karega.
To yah chiz sabse pehle aapko apne content par dhyan dena hai. Jo aap video bana rahe ho, vah video HD quality mein hona chahiye aur achha video hona chahiye taki jiske samne bhi aapka video jaye, vah use like kar de. 100 mein se 50% bande to use video ko like kar denge. Aisa content aapka hona chahiye.
Ab baat karte hain ki aapko In Tags software ko kaise download karna hai aur aapko kaise trending hashtags nikalne hain taki aap apni video mein trending hashtags ka use kar paye aur apni video ko viral kar paye.
Sabse pehle guys, aapko In Tags software ka download link main niche dene wala hun. Aap usse asaani se download kar sakte hain. Lekin pehle main aapko batata hun ke aapko iska use kaise karna hai aur kaise trending #hashtags nikalne hain taki aapki video ko aasani se viral kar pao.
Setup In Tags App
Jab aap ise download kar lenge, uske baad mein aap isse open karenge. Open karne ke baad, aapko age select karne ke liye bolega. Aap slide kar ke jo bhi aapki age hai, vah select kar lenge. Isse kya hoga, aapki age se related hi aapko #hashtags milenge. Taki jo aapki age hai, vaise logon ke paas mein hi aapki video jyada jayegi, vaise person ko hi aapki video zyada dikhai jayegi, taki vah aapki video mein interested ho aur aapki video ko like and follow kare.
To pehle age select kar lenge jo bhi aapki age hai. Uske baad mein aapko karna kya hai, yah kuch processing lega uske baad open ho jayega.
Find Trending Viral #Hashtags
Yahan par aapko kafi saare options milenge jaise ki, like, most popular, promotion. To aapko karna kya hai, most popular hashtag mein se jitne bhi #hashtags milenge, un hashtags ko aapko copy karna hai. Yahan par aapko 3 #hashtags ki list dikhai jayegi: first #hashtag, top 3 #hashtag, top 2 #hashtag, top 1 #hashtag.
To aapko #hashtag Top 1 ko pehle copy kar lena hai. Copy karne ke liye “Copy All” par click karna hai aur ek ad aayega, ad ko close karenge. Uske baad niche kaafi options milenge, first option par click karke copy kar lenge. Aur jis bhi video ko upload kar rahe ho, wahan par jakar usmein paste kar dena hai. Uske baad mein aayenge kuch likes wale features mein se #hashtag nikalenge, wahan se copy karenge aur jakar video mein paste kar denge.
To aise hi aapko kuch #hashtags aur bhi category se nikalenge aur apni video mein use kar lenge. Jab aap #hashtag ka use kar lenge to uske baad main aapko apni video ko successfully share kar dena hai, yani upload kar dena hai, to aapki video bahut hi teji se viral hogi.
How To Download In Tags App?
Aapne In Tags app ke baare mein to jaan liya hai, lekin aapko ise download kaise karna hai, chalo main aapko iska download link batata hun. Aap niche mein dekh rahe ho, aapko download ka link diya gaya hai. Is download button par aapko click karna hai aur jakar aapko ise download kar lena hai.
Download karne ke baad, jaise main aapko bataya, aapko isi tarike se iska use karke viral trending #hashtags nikal lene hai. To aapki video bahut hi teji se viral hogi.
Thank You
So I hope ki guys yah post aapko pasand aaye. Agar kuch sawal ya sujhav ho to niche comment kar dena. Main aapke comments read karunga aur agar aapko Kinemaster download karna hai ya PowerDirector editing ke liye download karna hai to niche aapko link diye gaye hain, aur bhi posts ke jaakar aap download kar sakte hain.